Subah ka waqt, chehre par dhoop padne ki vajah se mai ne ankhe kholi. To nazrein sidhe ceiling se ja takrayi, uthne ki koshis ki to badan mein karara dard utha. Issh. Chader hta kar khud ko dekha to jism par ek bhi kapade nhi tha. Ek ek kar ke raat ki sari batein yaad aane lagi. Mai ne apne bagal Samar par nazar dali jo pet ke bagal soye huye the. Unka aadha sharir dhka hua, aur unki khuli pith mere samne thi. Jis par wo nile lal nishanon ke sath mere nam ke tattoos chamak rahe the.
Dhoop padne se vo bhi kunmuna rahe the to mai kuhniiyo ke sahare bed par rakhe hath pe sir rakhte huye unki taraf ghum gayi.

Write a comment ...